In Excerpts: We're living in the era of Yousufi

Dunya News

An era of pun, humor, satire and wit in Urdu Literature has come to an end. Yousufi left us...

By Mehreen Fatima

An era of Urdu literature particularly the humor, satire and sarcasm has come to an end. The legend, The great ‘Mushtaq Ahmad Yousufi’ passes away in Karachi.

Yousufi, was known as one among the most celebrated Urdu satirist and humorist. Born in Jaipur, on 4th September 1923, Yousufi has set off to the deity at the age of 94, in Karachi.

He has a huge fan following around the globe. His literal work was translated into many languages. He received Sitara-i-Imtiaz Award in 1999 and Hilal-i-Imtiaz Award in 2002, the highest literary honour given by the Government of Pakistan. He was also given the highest literary award by Pakistan Academy of Letters in 1999 the Kamal-e-Fun Award.

He has served Urdu throughout his life. His contemporaries highly applauded his work.

The renowned urdu satirist and humorist Ibn-e-Insha wrote about Mushtaq Ahmad Yusufi: "...if ever we could give a name to the literary humor of our time, then the only name that comes to mind is that of Yusufi!"

Dr Zaheer Fatehpuri, wrote, "We are living in the  Yousufi era  of Urdu literary humor..." 

In 2014, at a ceremony presided over by a well-known writer Zehra Nigah who said at the event, "Neither Yousufi sahib, nor any of his books will ever get old".

His work had received many awards and critical acclaim. His first satirical phenomenon ‘Charagh Talay’ appeared in 1961. So far 11 editions of this book have appeared. His other works included Khakam-badhan, Zarguzasht, Aab-e-gum and recent released Sham-e-shair-e-yaraan.

Here are given few of the witty excerpts of his unmatched and highly praised satire to applaud fiery spices of his unparallel pun, humor and sarcasm:

REMEMBERING MUSHTAQ AHMAD YOUSUFI

“Who Zeher dy kar mati to duniya ki nazar mein aa jata, andaz-e-qatal toh daikho. Hum sy shadi kar li”


Kisi nay Mirza Sahab sy poocha kay Aap kay Khayal mein Mohabbat shadi sy pehly honi chahiye ya Shadi kay baad? Jis per Mirza Sahab nau irshad farmaya, Is baat sy koi farq nahin parhta kay Mohabbat shadi sy pehly ho ya baad… MAGAR BIWI KO IS KI HAWA BHI NAHIN LAGNI CHAHYE’


Insaan ko maut hamesha qabal az waqt aur shadi bad az waqt maaloom hoti hai.


Moong phalli aur awargi mein kharabi yeh hai kay aadmi ik dafa shuru kar day to samajh mein nahin aata khatam kaisy kary


Lehja lafz ka DNA hai, jis say nazar ka fitoor, niyat ka khot aur dil ka chor pakra jata hai.


Mirza kehty hain sach bol kar zaleel o khwar hony ki banisbat jhoot bol kar zaleel o khwar hona behtar hai. Admi ko kam az kam sabr to aa jata hai kay kis baat ki saza mil rahi hai.


Khuda jaany Hukumat Aalo ko bazor e qanoon qomi ghiza bnanay sy kyon darti hai. Sasta itna kay aaj tak kisi seth ko is mein milawat karnay ka khyal nahin aaya. Scandal ki tarah lazeez aur zod-e-hazam! Vitamin sy bharpoor, Khushzaiqa, Soofiyana rang, chilka zanana libas ki tarah.


Duniya mein Ghalib wahid shayar hai jo samajh mein na aaye to dugna maza deta hai.


Pakisatni business man, bureaucrat aur banker ki dictionary mein ‘intellectual’ sy zyada sari gaali koi nahin.


Kisi khoobsurat aurat kay baray mein suntan hoon kay wo parsa bhi hai to na jaany kyon dil baith sa jaat hai.


Mard ki ankh aur aurat ki zuban ka dam sab sy aakhir mein nikalta hai.


Baqol mirza dunya mein jitni bhi lazeez cheezein hain, in mein sy adhi to moulvi sahiban nay haram kar di hain aur baqia adhi Doctor sahiban nay.


Mera khayal hai halat-e-hazra per tabsra karty waqt jo shakhs apny blood pressure aur gali per qaboo rakh sakay, who ya to Wali Allah hai ya phir who khud hi Halat-e-Hazra ka zimedar hai.


Sirf ninanway feesad police walon ki waja say baqi bhi badnaam hain